Card image
Golden Temple | Swarn Mandir

Bole So Nihal… Sat Shree Aakal.. Swarn Mandir ek amulya dharohar...

BY Neeraj Jaiswal 430 days ago

Hello dosto fir ek travel story ke sath mai aapke sath aa gaya hnoo. Hope aap sabhi ko Nandi Hills wali adventures story me maza aaaya hoga. Ab start karte hai ek or adventures travel story ki. Main last 2 saal se ek nature wali jagah jane ka plan kar raha tha but plan success nahi ho raha tha, kyunki iske liye mujhe at least one week ya 10 days lagne wale the and as private job employee, we don’t get the leaves for that many days. Wahi.. 9 ghante wali boring life.
 
In Year 2022 Maine excuse de kar 10 days ki leave le li or nikal pada. shhh….. batana nahi kisi ko. Please keep this secrete between you and me… Ok.. Wo jagah hai Valley of flower in Uttarakhand. It was bit risky as I was travelling in monsoon and the news of land slide was frequent. To Uttarakhand jane se pahle maine Golden temple ke darshan kiye taki upper wale ka Ashirwad sath rahe.
 
Main nikal padata hoon apne travel bag ke sath Mumbai Central station ki taraf ek naye josh or umang ke sath. Meri Train Golden Temple Express ko pakadne jo mujhe Amritsar next day raat 11:30 tak pahucha degi. But aisa hota nahi, chaliye dekhate is train ke safar me kya huaa. Main aaram se apni side wali seat par biath gaya, meri bagal wali seat pe Husband wife or ek pyari si bachi hai. Sham ka time tha  to maine kuchh gaane sune, thoda khaya piya, timepass kiya or so gya. Next day us chhoti si ladki ne kuchh aisa kiya jisne mujhe mere bachpan ki yaad dila di. I am sure aap sab ne bhi ye mehsus kiya hoga apane bachpan me. To hua kuchh ynu… ki us ladki ke papa kuchh saman lene ke liye station se utarte hai. Railway ke shops thoda pichhe the to wo waha chale gaye. kuchh time ke baad train chalne lagti hai but uske papa nahi aate. Bachi window se jhakti, apne papa ko dekhati or ghabrate huye tez awaz me apne mummy se kahati “mummy gadi khul gay papa nahi aaye” and then started crying. I also faced similar fear in my childhood.
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
Train apne time par chal rahi hai but fir ek accident hota hai jiske wajah se meri train 1 ghante late ho jati hai. Aage track par kuchh gay or bail chal rahe the jisme se do bail train ke neeche aa jate hai or unki body train ki wheel me atak jati hai jisse train engine ko aage badhne me problem hoti hai. Ab is delay ki wajah se mai raat ke 12:30 Baje pahuchane  wala hoon Amritsar. Main musibat me pad gya agar mai Amritsar pahuch bhi gya itani raat ko jaunga knha or mai akela hi hoon. Then I decide to stay at station and will leave for Golden Temple in morning. Maine advance me naa to koi hotel booking ki hai or naa hi planning. mai bas destination decide karta hoo or nikal padata hoon. Raste me aane wale problems meri traveling ko adventure se bhar deti hai.
 
 
Train 12:30 am ko Amritsar pahuchati hai. Station pe kuchh log hai ye dekh ke mujhe accha lgata hai or bahot se log Golden Temple hi ja rahe hai. Station pe hi meri mulakat 2 ajanbi dosto se hoti hai wo log Jalandhar se aaye huye the or Golden Temple jane wale hai to mai bhi unke sath ho liya. Lekin hum sabhi ko nahi pata tha ki golden temple ke liye auto ya koi gadi kanha se mile. Hum sab station se bahar nikalte hai or thodi puchhtachh ke baad pata chala ki free Bus service hai or station ke samne auto statnd hai jo hume Golden Temple tak pahucha degi. Free Bus service to fully occupied hai to hum teeno ne sharing auto ki, 20rs each or 25 minutes me hum pahuch gaye Golden Temple entry point pe.
 
 
Amritsar Station
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
 
  
 
Maine aisa socha hi nahi tha ki najara kuchh aisa hoga ki meri nind gayab ho jayegi. Itani chamkate dhamakte raste or logo ki bheed ye to Mumbai ki night life ko bhi beat kar rahi hai. Golden Temple ki galiyon ko explore karne ke baad hume sab ko bhookh lag gayi to humne apne shoes or bags trust ki free locker service me rakh diye  or nikal gaye Langar khane yanha ek chiz ka dhyan rakhe jab bhi aap Golden Temple ke parisar me hai to apko apna sar(Head) kapde se dhak kar rakhna hai or decent kapde pahana hai no half paint allowed. Maine socha tha ki humsab ek room le kar so jayenge or next day morning se start karenge. But dono dosto ne suggest kiya ki 4 am se darshan start ho jayenge or langar khane ke baad time raat ke already 3:30 ho rahe the. Hum sab ne decide kiya ki Amrit Sarovar me doobki lagane ke baad darshan ki line me lag jayenge.
 
           
 
 
 
Amrit Sarovar me nahane ke baad hum sab line me lag gaye. Humidity bahot jada hai or logo ki bheed bhi bahot hai un dono dosto ne aadhe ghante ke baad haar mankar line se bahar chale gaye or mai line me data raha. Guru ke amrit waniyon or “BOLE SO NIHAL SAT SHREE AAKAL” ke gunj ke sath subah karib 6 baje mai darshan kar leta hnoo or mandir ke first floor pe jane ka mauka bhi miljata hai. Kya pleasant view hai…! Aankhe thandi hogayi sarovar ke charo taraf ka view dekh kar wo bhi subah ki pahli kiran ke sath… kya feeling hai yaaro aap sabhi ne bhi experience karna chahiye. To nikal pado… if you have any query or suggestion, please comment down below… mujhe bahot Khushi hogi apki madat karne me.Iske baad ki story Wagah border me
continue hogi……
 

post will be added

Comment

Enter Your Comment Here..