Card image
Huaa Goom Haridwar Nagri Ki Galiyon Me.

Ek alag sa sukun hota hai yanha, sham me ghantiyon ki dhoon, ghat ke kinare baith kar laharo ko niharna aur tairate, doobki lagate bachhe aur bade log.

BY Neeraj Jaiswal 361 days ago

 
Meri pichhali travel story “Wagah Border” janha tempo mujhe beech raste me chhod deti hai aur uske baad main kaise Bike riders se mila, jo K to K ride kar rahe the. Poori story read karne ke liye aap “Wagah Border” page par jaye.
 
Wagah Border ki journey complete karne ke baad ab mujhe jaana tha Uttrakhand. Janha se main “Valley of flowers” ki yatra start karne walla hnoo. Is destination ke liye mai picchale do saalon se wait kar raha tha finally kuchh hi dino baad mai wanha pahunch jaunga. Agra raste me sab kuchh thik raha to! Uttarakhand pahado pe basa swarg hai aur jis samay mai travel kar raha hnoo wo barish ka mausam hai, to pahado ke kissakne, accidents aur road block ki news bahot aa rahi thi. lekin main kanha rukane wala tha, main to nikal pada hoon…
 
Ab mujhe dekhana tha ki Amritsar se Haridwar kaise pahucha jaye. Kyunki aage ke liye maine kuchh plan nahi kiya tha. Trains search ki to pata chala, Dehardun Exp hai jo Amritsar se Haridwar jayegi aur timing bhi perfect thi, raat ko 9:40 se chhutegi sube 7:30 pahucha degi. Lekin ab ticket ka problem, Rakshabandhan ki dhoom machi thi to sabhi apne apne gharo ko laut rahe the Rakshabandhan manane. Jiske wajah se traino me bheed thi aur tickets available nahi the. Ab mere pass ek hi option tha, general ticket nikalo aur janha jagah mile baith jao. To apana Travel bag uthata hnoo aur station ki taraf chal deta hoon, ticket nikal kar train ka wait karne laga. Ye to pakka tha ki sone to milane wala nahi hai bas  baithane ke liye jagah mil jaye.
 
Train station par aakar khadi huyi sab apni apni seat par baith gaye mai bhi train me chadhkar ek seat ki talash me tha. Tabhi coach ke dawaje ke just bagal wale cabin me 6-7 log the, maine unse haste huye seat ke liye puchha or unhone jagah dedi. WOW main khush tha ki jagah mil gayi ab bas kaise bhi kar ke rat kaat jaaye.
 
Jo mere sath travel kar rahe the actually wo Soanpapadi ( sweet dessert ) ke karigar the aur Rakshabandhan manane ke liye apane gharo ko ja rahe the. Mujhe laga mera ye train ka safar bahot boring hoga, lekni jab life ke kisse aur kahaniyon ki baat chhidee to safar behatrin ho gaya, kuchh hassi ke lamho se to kissi ko sone na dene ki badmashi se, kab subah ho gayi hume pata hi na chala. Ye bhi ek yadgaar lamha hai mere liye. Wo log Haridwar se pahle hi utar gaye aur aage ka safar ab akele tay karna hai.
 
      
 
Andhere ko chirta hua suraj aasaman ki taraf badh raha tha, jiski kirane train ke khidkiyon se mere chehare par pad rahi thi. Subah ke 7:25 ho gaye the aur main tha Haridwar station, Janha maine sabse pahale notice kiya ye pure ekdum clean neela aasaman.
 
Jaise ek chhota bacha Jigyasa bhari nazro se duniya ko dekhata hai kuchha ussi tarah mai bhi aaspass ki chizo, logo ko dekhate huye station se bahar nikal kar sadak par aa jata hoon. Beech rasete me khada huaa main dekh raha tha kanhi Rotiyaan ban rahi hai to kanhi tel me se garam garam Samose chhan kar bahar aa rahe the, to kanhi se Parathe aur Maggi ki Khooshboo hawa me fail rahi thi. Main kafi thak chukaa tha aur need bhi bahot lagi huyi thi to sabse pahale ek kamara leta aur so jata hoon.
 
Nind puri aur petpuja karne ke baad main nikal padta Haridwar ki galiyon ko explore karne. Ek alag sa sukun hota hai yanha, sham ko ghantiyon ki dhoon, ghat ke kinare baith kar laharo ko niharna aur tairate, doobki lagate bachhe aur bade log. Mera bhi man huaa ki kyun na ek doobki main bhi laga loon, issi bahane mere kuchh pap dhool jaye hahaha… main bhi jakar doobaki laga hi leta hoon.
 
 
Agar aapko meri yatra ke kuchh lamho ko dekhana hai to aap meri Instagarm ke Uttarakhand ke Highlights dekh sakte hai. Ab main appko agli travel story "Valley of flowers" me milunga. Aaise hi aap apna pyar dete rahe taki aap aur mai pure India ki ek travel story khadi kar sake.

post will be added

Comment

Enter Your Comment Here..